MAN KI GUTTHI
Ek dost ko dusre ke liyePyaar jatate huye dekha
Ham bhi to dost hai uske
To hamse kyu nahi jataya?
Man ne man hi man socha
Suljha kar is gutthi ko
Man ne khud ko bola
Kaise huyi teri himmat
Jo tune aaj pyaar ko tola
Fir man ne khud ko bola
Umeed hai unse hame
Tabhi to vo apne hai
Hamne bhi unko lekar
Sajaye kai sapne hai
Aaya jawaab fir man ka khudko
Pyaar ke badle pyaar milta
To pyaar kyu badnaam hota
Ye ek hi thodi hai duniya me
Mat kar mehsus tu chota
—Shivam Bansal
Copyright © Gold Poem

Comments
Post a Comment